jo baat haqiqat ho be-KHauf-o-KHatar kahiye
jo baat haqīqat ho be-ḳhauf-o-ḳhatar kahiye
maiñ is kā nahīñ qaa.il shabnam ko guhar kahiye
lafzoñ kī harārat se ajsām pighal jaa.eñ
sanjīda zarā ho kar ash'ār agar kahiye
apnoñ ne pilā.e haiñ zahrāb ke ghūñT aksar
hoñToñ pe jo ḳhushkī hai talḳhī kā asar kahiye
bāzār-e-tasanno.a ke jalvoñ kī numā.ish ko
TuuTe hue shīshoñ kā adnā sā khañDar kahiye
jazbāt kā ḳhuuñ kar duuñ ehsās kuchal Dālūñ
zaḳhmoñ se lahū Tapke sau baar agar kahiye
taḳhlīq-e-ajussā yā 'hāfiz' kī ġhazal 'rahbar'
jis se ho baqā fan kī me.arāj-e-hunar kahiye
jo baat haqiqat ho be-KHauf-o-KHatar kahiye
main is ka nahin qail shabnam ko guhar kahiye
lafzon ki hararat se ajsam pighal jaen
sanjida zara ho kar ash'ar agar kahiye
apnon ne pilae hain zahrab ke ghunT aksar
honTon pe jo KHushki hai talKHi ka asar kahiye
bazar-e-tasannoa ke jalwon ki numaish ko
TuTe hue shishon ka adna sa khanDar kahiye
jazbaat ka KHun kar dun ehsas kuchal Dalun
zaKHmon se lahu Tapke sau bar agar kahiye
taKHliq-e-ajussa ya 'hafiz' ki ghazal 'rahbar'
jis se ho baqa fan ki mearaj-e-hunar kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.