jo baat kaam ki hai hans ke Tal deta hai
jo baat kaam kī hai hañs ke Taal detā hai
fuzūl baat ko aksar uchhāl detā hai
tulūa ġhurūb urūj-o-zavāl detā hai
kisī ko tamġha kisī ko vo shawl detā hai
taġhayyurāt ke sāñchoñ meñ Dhaal detā hai
ḳhushī kalī ko to gul ko malāl detā hai
vo chaar samt kā dariyā bahā ke aalam meñ
kisī ko ġharb kisī ko shumāl detā hai
machherā kitnī firāsat se jaal ko apnī
uThā ke gahre samundar meñ Daal detā hai
har ek kaam ko vo mere rā.egāñ likh kar
pahāḌ khod ke chūhā nikāl detā hai
kabhī kabhī mujhe lams-e-visāl de ke 'zarar'
mire vajūd ko barsoñ ujaal detā hai
jo baat kaam ki hai hans ke Tal deta hai
fuzul baat ko aksar uchhaal deta hai
tulua ghurub uruj-o-zawal deta hai
kisi ko tamgha kisi ko wo shawl deta hai
taghayyuraat ke sanchon mein Dhaal deta hai
KHushi kali ko to gul ko malal deta hai
wo chaar samt ka dariya baha ke aalam mein
kisi ko gharb kisi ko shumal deta hai
machhera kitni firasat se jal ko apni
uTha ke gahre samundar mein Dal deta hai
har ek kaam ko wo mere raegan likh kar
pahaD khod ke chuha nikal deta hai
kabhi kabhi mujhe lams-e-visal de ke 'zarar'
mere wajud ko barson ujal deta hai
- Book : faKHr-e-Ghazalgoee (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.