jo baat kahni hai mujhko wo kahne wala hun
jo baat kahnī hai mujh ko vo kahne vaalā huuñ
kisī ke ḳhauf se kab chup maiñ rahne vaalā huuñ
kahāñ kahāñ mujhe rokoge band bhāñdhoge
maiñ chaḌhtā dariyā huuñ har samt bahne vaalā huuñ
tumhāre chāhne vāloñ se maiñ bhī vāqif huuñ
tumhārā dard maiñ tanhā hī sahne vaalā huuñ
mirī bhī baat suno merī shakl pahchāno
tumhāre shahr kā ik maiñ bhī rahne vaalā huuñ
har ek shaḳhs nadāmat se sar-nigūñ hogā
baḌe salīqe se vo baat kahne vaalā huuñ
zamāna koī sazā de ki kah de dīvāna
'matīn' maiñ kahāñ ḳhāmosh rahne vaalā huuñ
jo baat kahni hai mujh ko wo kahne wala hun
kisi ke KHauf se kab chup main rahne wala hun
kahan kahan mujhe rokoge band bhandhoge
main chaDhta dariya hun har samt bahne wala hun
tumhaare chahne walon se main bhi waqif hun
tumhaara dard main tanha hi sahne wala hun
meri bhi baat suno meri shakl pahchano
tumhaare shahr ka ek main bhi rahne wala hun
har ek shaKHs nadamat se sar-nigun hoga
baDe saliqe se wo baat kahne wala hun
zamana koi saza de ki kah de diwana
'matin' main kahan KHamosh rahne wala hun
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 104)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.