jo baaton se palaTta ja raha hai
jo bātoñ se palaTtā jā rahā hai
mirā jī us se haTtā jā rahā hai
kahāñ lahreñ kabhī ye sochtī haiñ
kināra kaise kaTtā jā rahā hai
milā hai fikr ko phailāv jab se
vajūd apnā simaTtā jā rahā hai
ye kaisī dhuup hai qadmoñ se mere
mirā saaya lipaTtā jā rahā hai
liyā jo faisla bhī zindagī meñ
vo sab kā sab ulaTtā jā rahā hai
taraqqī par to har shai hai yahāñ kī
magar me.aar ghaTtā jā rahā hai
jise paḌhnā nahīñ hai kuchh bhī 'shāhid'
vo bas panne palaTtā jā rahā hai
jo baaton se palaTta ja raha hai
mera ji us se haTta ja raha hai
kahan lahren kabhi ye sochti hain
kinara kaise kaTta ja raha hai
mila hai fikr ko phailaw jab se
wajud apna simaTta ja raha hai
ye kaisi dhup hai qadmon se mere
mera saya lipaTta ja raha hai
liya jo faisla bhi zindagi mein
wo sab ka sab ulaTta ja raha hai
taraqqi par to har shai hai yahan ki
magar mear ghaTta ja raha hai
jise paDhna nahin hai kuchh bhi 'shahid'
wo bas panne palaTta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.