Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bawajud hawaon ke tabnak hue

Neeraj Naveed

jo bawajud hawaon ke tabnak hue

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    jo bāvajūd havāoñ ke tābnāk hue

    unhīñ charāġhoñ se laḌ kar añdhere ḳhaak hue

    ye 'ishq khel nahīñ hai miyāñ sañbhal jaao

    hazāroñ qais isī 'ishq meñ halāk hue

    agar gunāh kiyā hai sazā bhī chāhte haiñ

    bahā ke ashk nadāmat ke ham na paak hue

    vo chāhte the hukūmat ho raushnī pe magar

    ka.ī patange isī aarzū meñ ḳhaak hue

    ki jaise duniyā meñ kuchh bhī nahīñ ho ġham ke sivā

    jidhar bhī dekho vahīñ par jigar haiñ chaak hue

    chunā thā zid meñ bahut tang qāfiya ham ne

    ḳhudā shukr ke kuchh she'r Thīk-Thāk hue

    jo bawajud hawaon ke tabnak hue

    unhin charaghon se laD kar andhere KHak hue

    ye 'ishq khel nahin hai miyan sanbhal jao

    hazaron qais isi 'ishq mein halak hue

    agar gunah kiya hai saza bhi chahte hain

    baha ke ashk nadamat ke hum na pak hue

    wo chahte the hukumat ho raushni pe magar

    kai patange isi aarzu mein KHak hue

    ki jaise duniya mein kuchh bhi nahin ho gham ke siwa

    jidhar bhi dekho wahin par jigar hain chaak hue

    chuna tha zid mein bahut tang qafiya hum ne

    KHuda ka shukr ke kuchh she'r Thik-Thak hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now