jo bad-aqida ho usko KHuda nahin milta
jo bad-aqida ho usko KHuda nahin milta
Zahid Al-Ehsani Loharvi
MORE BYZahid Al-Ehsani Loharvi
jo bad-aqīda ho us ko ḳhudā nahīñ miltā
lagan ho dil meñ to bande ko kyā nahīñ miltā
baḌe ḳhulūs se sab kī nazar ko taktā huuñ
vafā-shanās koī āshnā nahīñ miltā
jise bhī dekhiye vo rahzanī meñ yaktā hai
hazār DhūñDo magar rahnumā nahīñ miltā
dayār-e-ġhair meñ sab hī aziiz haiñ lekin
jo de ḳhulūs to vo bā-vafā nahīñ miltā
tumhāre shahr meñ iḳhlās kī kamī lekin
sitam hai koī bhī ġham-āshnā nahīñ miltā
sukūn-e-qalb kī daulat milī to hai 'zāhid'
koī batā.e ki us dar se kyā nahīñ miltā
jo bad-aqida ho us ko KHuda nahin milta
lagan ho dil mein to bande ko kya nahin milta
baDe KHulus se sab ki nazar ko takta hun
wafa-shanas koi aashna nahin milta
jise bhi dekhiye wo rahzani mein yakta hai
hazar DhunDo magar rahnuma nahin milta
dayar-e-ghair mein sab hi aziz hain lekin
jo de KHulus to wo ba-wafa nahin milta
tumhaare shahr mein iKHlas ki kami lekin
sitam hai koi bhi gham-ashna nahin milta
sukun-e-qalb ki daulat mili to hai 'zahid'
koi batae ki us dar se kya nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.