jo bad-gumani ki surat hai wo badal jae
jo bad-gumani ki surat hai wo badal jae
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
jo bad-gumānī kī sūrat hai vo badal jaa.e
use kaho ki nibhānā hai to sañbhal jaa.e
kabhī to harf-e-tamannā kā naqsh ho dil par
kabhī sukūt bhī to guftugū meñ Dhal jaa.e
mile to kaise mile ajr 'ishq kā tujh ko
agar tū ḳhalvat-e-dushvār meñ phisal jaa.e
mirā nahīñ na sahī par barā-e-'azmat-e-'ishq
kisī kā ḳhvāb to āñkhoñ meñ terī pal jaa.e
visāl-e-yār qayāmat se kam nahīñ hotā
ḳhudā kare ki qayāmat kā vaqt Tal jaa.e
koī batā.e charāġhoñ kā zor kyā hogā
ki jis ke Dar se havāoñ kā dil dahal jaa.e
bulandiyāñ bhī mileñgī zavāl meñ 'aḳhtar'
misāl-e-sham’ tirī zaat jo pighal jaa.e
jo bad-gumani ki surat hai wo badal jae
use kaho ki nibhana hai to sanbhal jae
kabhi to harf-e-tamanna ka naqsh ho dil par
kabhi sukut bhi to guftugu mein Dhal jae
mile to kaise mile ajr 'ishq ka tujh ko
agar tu KHalwat-e-dushwar mein phisal jae
mera nahin na sahi par bara-e-'azmat-e-'ishq
kisi ka KHwab to aankhon mein teri pal jae
visal-e-yar qayamat se kam nahin hota
KHuda kare ki qayamat ka waqt Tal jae
koi batae charaghon ka zor kya hoga
ki jis ke Dar se hawaon ka dil dahal jae
bulandiyan bhi milengi zawal mein 'aKHtar'
misal-e-sham’ teri zat jo pighal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.