jo bahr-e-ehtiyat mein pali nahin gai
jo bahr-e-ehtiyāt meñ paalī nahīñ ga.ī
us zindagī kī naav sambhālī nahīñ ga.ī
sāhil se dekhte rahe sab Dūbte hue
lekin bhañvar se naav nikālī nahīñ ga.ī
un ke har ik ishāre pe sar ko jhukā diyā
mujh se baḌoñ kī baat bhī Taalī nahīñ ga.ī
purkhoñ se apnā taur hai dastār bāñdhnā
pagḌī kisī kī ham se uchhālī nahīñ ga.ī
ghuñghaT shab-e-urūs uThāne kī der thī
phir chādar-e-hijāb sambhālī nahīñ ga.ī
jo bahr-e-ehtiyat mein pali nahin gai
us zindagi ki naw sambhaali nahin gai
sahil se dekhte rahe sab Dubte hue
lekin bhanwar se naw nikali nahin gai
un ke har ek ishaare pe sar ko jhuka diya
mujh se baDon ki baat bhi Tali nahin gai
purkhon se apna taur hai dastar bandhna
pagDi kisi ki hum se uchhaali nahin gai
ghunghaT shab-e-urus uThane ki der thi
phir chadar-e-hijab sambhaali nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.