jo banega wahi banana hai
jo banegā vahī banānā hai
kyā kareñ chaak use ghumānā hai
yeh mirā ghar hai vo zamāna hai
ab batāo kidhar ko jaanā hai
phuul collar pe bas lagānā hai
kitnā āsān muskurānā hai
jhūltī hai kamān par chiḌiyā
aur tarkash meñ āshiyāna hai
paḌ ga.ī hai zabān uljhan meñ
jo chhupānā hai vo batānā hai
ham jahāñ haiñ vahīñ pe milte haiñ
jo pata hai vahī Thikāna hai
maiñ ne patthar to kar liyā ḳhud ko
ab tirī raah se haTānā hai
jo banega wahi banana hai
kya karen chaak use ghumana hai
yeh mera ghar hai wo zamana hai
ab batao kidhar ko jaana hai
phul collar pe bas lagana hai
kitna aasan muskurana hai
jhulti hai kaman par chiDiya
aur tarkash mein aashiyana hai
paD gai hai zaban uljhan mein
jo chhupana hai wo batana hai
hum jahan hain wahin pe milte hain
jo pata hai wahi Thikana hai
main ne patthar to kar liya KHud ko
ab teri rah se haTana hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 90)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.