jo bashar ḳhud ko bhī na pahchāne
vo rumūz-e-hayāt kyā jaane
vahī sham'eñ vahī haiñ parvāne
log dohrā rahe haiñ afsāne
jī meñ kyā aa.ī aaj ai nāseh
aa.e ho mai-kade meñ samjhāne
har galī meñ haiñ har zabāñ par haiñ
merī dīvāngī ke afsāne
dil ko ḳhadshoñ ne aa ke gher liyā
lī jo chuTkī kisī tamannā ne
jis ne duniyā meñ haq-parastī kī
us ko jiine diyā na duniyā ne
uf fareb-e-jamāl-e-zauq-e-nazar
ham unheñ aaj bhī na pahchāne
farq kyā tujh meñ ham meñ ai nāseh
tū bhī dīvāna ham bhī dīvāne
sāf-goī kā ye natīja hai
apne bhī ho ga.e haiñ begāne
saarī duniyā ko un se nisbat hai
ham se vābasta haiñ jo afsāne
mehr-o-māh-o-nujūm kuchh bhī nahīñ
tū jo apnī ḳhudī ko pahchāne
ham ne duniyā ko phir bhī apnāyā
ġham diye go hazāroñ duniyā ne
mo'jiza hai ki bazm-e-'ābid' meñ
raqs farmā rahe haiñ paimāne
jo bashar KHud ko bhi na pahchane
wo rumuz-e-hayat kya jaane
wahi sham'en wahi hain parwane
log dohra rahe hain afsane
ji mein kya aai aaj ai naseh
aae ho mai-kade mein samjhane
har gali mein hain har zaban par hain
meri diwangi ke afsane
dil ko KHadshon ne aa ke gher liya
li jo chuTki kisi tamanna ne
jis ne duniya mein haq-parasti ki
us ko jine diya na duniya ne
uf fareb-e-jamal-e-zauq-e-nazar
hum unhen aaj bhi na pahchane
farq kya tujh mein hum mein ai naseh
tu bhi diwana hum bhi diwane
saf-goi ka ye natija hai
apne bhi ho gae hain begane
sari duniya ko un se nisbat hai
hum se wabasta hain jo afsane
mehr-o-mah-o-nujum kuchh bhi nahin
tu jo apni KHudi ko pahchane
hum ne duniya ko phir bhi apnaya
gham diye go hazaron duniya ne
mo'jiza hai ki bazm-e-'abid' mein
raqs farma rahe hain paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.