jo be-kahe-sune aae sada rakhen na rakhen
jo be-kahe-sune aa.e sadā rakheñ na rakheñ
ye iḳhtiyār hai kis paas kyā rakheñ na rakheñ
hamāre qadmoñ ke nīche sarak rahī hai zamīñ
kisī se kyā koī shikva gila rakheñ na rakheñ
ye soch bhī kabhī aa.ī nahīñ ai rabb-e-karīm
ba-juz ḳhudā koī tujh sā ḳhudā rakheñ na rakheñ
ba-nām-e-husn sitam vo kareñ na.e se nayā
ba-nām-e-ishq karam vo ravā rakheñ na rakheñ
tamām raat isī ik udheḌ-bun meñ kaTī
visāl-e-yār ye dil aa.ina rakheñ na rakheñ
hamārā zehn judā ho ke ham se sochtā hai
so apne aap se ab vāsta rakheñ na rakheñ
hamāre haath meñ gahrī hai dostī kī lakīr
salā-e-ām hai 'ḳhusrav' sila rakheñ na rakheñ
jo be-kahe-sune aae sada rakhen na rakhen
ye iKHtiyar hai kis pas kya rakhen na rakhen
hamare qadmon ke niche sarak rahi hai zamin
kisi se kya koi shikwa gila rakhen na rakhen
ye soch bhi kabhi aai nahin ai rabb-e-karim
ba-juz KHuda koi tujh sa KHuda rakhen na rakhen
ba-nam-e-husn sitam wo karen nae se naya
ba-nam-e-ishq karam wo rawa rakhen na rakhen
tamam raat isi ek udheD-bun mein kaTi
visal-e-yar ye dil aaina rakhen na rakhen
hamara zehn juda ho ke hum se sochta hai
so apne aap se ab wasta rakhen na rakhen
hamare hath mein gahri hai dosti ki lakir
sala-e-am hai 'KHusraw' sila rakhen na rakhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.