jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki
jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
jo bhar leñ ek chuTkī sāhab-e-tāsīr miTTī kī
abhī sharminda-e-tāsīr ho iksīr miTTī kī
banā kar aadmī kyuuñ āb-o-gil meñ ishq ko Daalā
nikālī hai ḳhudā ne ye na.ī ta.azīr miTTī kī
hamārī qabr par bhī ik hujūm-e-be-kasī hogā
dikhā deñge pas-e-murdan tujhe tauqīr miTTī kī
zamīn-e-kūcha-e-dil-dār ne kyā paañv pakḌe haiñ
milī dīvāngān-e-ishq ko zanjīr miTTī kī
rahegā TuuT kar bhī ḳhāna-e-dil ālam-e-hasrat
use bhī aap samjhe haiñ magar ta.amīr miTTī kī
yahī miTTī hai jis se sab banā.e jaate haiñ yārab
butoñ meñ kyuuñ badal jaatī hai phir tāsīr miTTī kī
vo kushta huuñ ki rū-e-ḳhāk par bhī aa ga.ī surḳhī
ḳhushī se shakl badlī hai dam-e-takbīr miTTī kī
junūn-e-ishq meñ tere zamāna ḳhaak barsar hai
baḌhī hai in dinoñ tauqīr se tauqīr miTTī kī
zabāñ dī thī ḳhudā ne bolne ke vāste lekin
banāyā nāz-o-tamkīñ ne tumheñ tasvīr miTTī kī
kahāñ sail-e-havādis meñ patā ham ḳhāksāroñ kā
kahīñ Thahrī hai rū-e-āb par ta.amīr miTTī kī
musallat ḳhākiyoñ par kyuuñ kiyā hai charḳh ko yārab
na thā maqbūl uzr is kā to kyā taqsīr miTTī kī
vo kyā kyā ḳhaak uḌāte haiñ zabāñ par aa ke tū ne to
hamārī baat bhī ai nāla-e-shab-gīr miTTī kī
tum aa.e mere ghar kā zarra zarra ho gayā raushan
huī mehr-e-daraḳhshāñ se sivā tanvīr miTTī kī
uḌāne dete haiñ vahshat-zada tere koī din meñ
baḌhegī justujū ab sūrat-e-aksīr miTTī kī
vo aa.e ḳhaak uḌāne ko pas-e-murdan to hasrat se
hamārī ruuh kahtī hai zahe-taqdīr miTTī kī
banāyā us se hai dushman ko aur ham ko magar 'sālik'
kahīñ tauqīr miTTī kī kahīñ tahqīr miTTī kī
jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki
abhi sharminda-e-tasir ho iksir miTTi ki
bana kar aadmi kyun aab-o-gil mein ishq ko Dala
nikali hai KHuda ne ye nai tazir miTTi ki
hamari qabr par bhi ek hujum-e-be-kasi hoga
dikha denge pas-e-murdan tujhe tauqir miTTi ki
zamin-e-kucha-e-dil-dar ne kya panw pakDe hain
mili diwangan-e-ishq ko zanjir miTTi ki
rahega TuT kar bhi KHana-e-dil aalam-e-hasrat
use bhi aap samjhe hain magar tamir miTTi ki
yahi miTTi hai jis se sab banae jate hain yarab
buton mein kyun badal jati hai phir tasir miTTi ki
wo kushta hun ki ru-e-KHak par bhi aa gai surKHi
KHushi se shakl badli hai dam-e-takbir miTTi ki
junun-e-ishq mein tere zamana KHak barsar hai
baDhi hai in dinon tauqir se tauqir miTTi ki
zaban di thi KHuda ne bolne ke waste lekin
banaya naz-o-tamkin ne tumhein taswir miTTi ki
kahan sail-e-hawadis mein pata hum KHaksaron ka
kahin Thahri hai ru-e-ab par tamir miTTi ki
musallat KHakiyon par kyun kiya hai charKH ko yarab
na tha maqbul uzr is ka to kya taqsir miTTi ki
wo kya kya KHak uDate hain zaban par aa ke tu ne to
hamari baat bhi ai nala-e-shab-gir miTTi ki
tum aae mere ghar ka zarra zarra ho gaya raushan
hui mehr-e-daraKHshan se siwa tanwir miTTi ki
uDane dete hain wahshat-zada tere koi din mein
baDhegi justuju ab surat-e-aksir miTTi ki
wo aae KHak uDane ko pas-e-murdan to hasrat se
hamari ruh kahti hai zahe-taqdir miTTi ki
banaya us se hai dushman ko aur hum ko magar 'salik'
kahin tauqir miTTi ki kahin tahqir miTTi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.