jo bhed asl tha wo to kabhi khula hi nahin
jo bhed asl thā vo to kabhī khulā hī nahīñ
maiñ jis kā aks huuñ vo merā aa.ina hī nahīñ
udaas baiThā hai ā.īna bechne vaalā
ki is mahal meñ koī ḳhud ko jāntā hī nahīñ
ham apnī dastakeñ mahfūz rakh ke kyā karte
kisī makān meñ darvāza koī thā hī nahīñ
bhaTaktī phirtī haiñ yādoñ kī kashtiyāñ kyā kyā
ajab hai dil kā samundar ki rāsta hī nahīñ
na koī Dor na bandhan na rāsta na ġhubār
yahī ki us ke mire biich fāsla hī nahīñ
jo bhed asl tha wo to kabhi khula hi nahin
main jis ka aks hun wo mera aaina hi nahin
udas baiTha hai aaina bechne wala
ki is mahal mein koi KHud ko jaanta hi nahin
hum apni dastaken mahfuz rakh ke kya karte
kisi makan mein darwaza koi tha hi nahin
bhaTakti phirti hain yaadon ki kashtiyan kya kya
ajab hai dil ka samundar ki rasta hi nahin
na koi Dor na bandhan na rasta na ghubar
yahi ki us ke mere bich fasla hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.