jo bhi aaya hai yahan ho ke hi sarshaar uTha
jo bhī aayā hai yahāñ ho ke hī sarshār uThā
sab kā āñgan hai na tū biich meñ dīvār uThā
mas.ala aur ulajhtā hai ġhalat-fahmī se
pahle tū baat to kar baad meñ talvār uThā
dil bhī raushan ho tirī āñkhoñ meñ nuur aa jaa.e
jazba sādiq hai to ik aisā hī mīnār uThā
surḳh-rū aur bhī hotī ga.ī maqtal kī zamīñ
sar hamārā bhī kuchh is tarah sar-e-dār uThā
tez-tar ho ga.e jab gardish-e-daurāñ ke qadam
haath meñ jaam liye jhuum ke mai-ḳhvār uThā
zulm jab had se baḌhā haath meñ kirpān liye
apne 'nashtar' kī tarah kaun ye sardār uThā
jo bhi aaya hai yahan ho ke hi sarshaar uTha
sab ka aangan hai na tu bich mein diwar uTha
masala aur ulajhta hai ghalat-fahmi se
pahle tu baat to kar baad mein talwar uTha
dil bhi raushan ho teri aankhon mein nur aa jae
jazba sadiq hai to ek aisa hi minar uTha
surKH-ru aur bhi hoti gai maqtal ki zamin
sar hamara bhi kuchh is tarah sar-e-dar uTha
tez-tar ho gae jab gardish-e-dauran ke qadam
hath mein jam liye jhum ke mai-KHwar uTha
zulm jab had se baDha hath mein kirpan liye
apne 'nashtar' ki tarah kaun ye sardar uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.