jo bhi barbaadiyan thin qaza le gai
jo bhī barbādiyāñ thiiñ qazā le ga.ī
zindagī apnā dāman bachā le ga.ī
ḳhushk patte kī sūrat maiñ uḌtā rahā
jis taraf mujh ko chāhā havā le ga.ī
chāk-dāmanī merī guloñ ko milī
rang mere lahū kā hinā le ga.ī
fasl-e-gul meñ gulistāñ ko kyā mil gayā
gil ko gulchīñ mahak ko sabā le ga.ī
zindagī zindagī se gurezāñ huī
lutf jiine kā shāyad anā le ga.ī
aur chāhe hai kyā mujh se dīvāngī
sar se chādar badan se qabā le ga.ī
ḳhuub duniyā ne luuTā hai mujh ko magar
ḳhulq merā na merī vafā le ga.ī
tū ne āvāz de kar tamāshā kiyā
duur tak mujh ko terī sadā le ga.ī
vo musāfir huuñ shahr-e-butāñ kā 'nazīr'
chashm-e-bīnā mirī ḳhāk-e-pā le ga.ī
jo bhi barbaadiyan thin qaza le gai
zindagi apna daman bacha le gai
KHushk patte ki surat main uDta raha
jis taraf mujh ko chaha hawa le gai
chaak-damani meri gulon ko mili
rang mere lahu ka hina le gai
fasl-e-gul mein gulistan ko kya mil gaya
gil ko gulchin mahak ko saba le gai
zindagi zindagi se gurezan hui
lutf jine ka shayad ana le gai
aur chahe hai kya mujh se diwangi
sar se chadar badan se qaba le gai
KHub duniya ne luTa hai mujh ko magar
KHulq mera na meri wafa le gai
tu ne aawaz de kar tamasha kiya
dur tak mujh ko teri sada le gai
wo musafir hun shahr-e-butan ka 'nazir'
chashm-e-bina meri KHak-e-pa le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.