jo bhi ghayal teri nazar ke hue
jo bhī ghāyal tirī nazar ke hue
ghaaT ke vo rahe na ghar ke hue
jin meñ himmat nahīñ thī uḌne kī
ḳhush parindoñ ke par katar ke hue
vo bhī toḌā kiye hameñ har din
ham bhī yakjā bikhar bikhar ke hue
log merī taraf se terī taraf
ḳhauf se ho ga.e ye Dar ke hue
aap the sach kī āḳhirī ummīd
aap bhī aaj se udhar ke hue
zaḳhm to juuñ ke tuuñ rahe lekin
dil pe ehsān chārāgar ke hue
jo bhi ghayal teri nazar ke hue
ghaT ke wo rahe na ghar ke hue
jin mein himmat nahin thi uDne ki
KHush parindon ke par katar ke hue
wo bhi toDa kiye hamein har din
hum bhi yakja bikhar bikhar ke hue
log meri taraf se teri taraf
KHauf se ho gae ye Dar ke hue
aap the sach ki aaKHiri ummid
aap bhi aaj se udhar ke hue
zaKHm to jun ke tun rahe lekin
dil pe ehsan chaaragar ke hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.