jo bhi humse ban paDa karte rahe
jo bhī ham se ban paḌā karte rahe
rut badalne kī duā karte rahe
kaisī kaisī chāhatoñ ke the charāġh
jin ko ham burd-e-havā karte rahe
Taañk kar ḳhush-rañg ummīdoñ ke phuul
ḳhushk Tahnī ko harā karte rahe
rañg ḳhushbū se alag hote na the
lafz ma.anī se judā karte rahe
jānte the chāplūsī kā hunar
kaam phir bhī dūsrā karte rahe
ḳhauf-nagrī ke makīñ the ham 'shafīq'
phir bhī jazboñ ko sadā karte rahe
jo bhi hum se ban paDa karte rahe
rut badalne ki dua karte rahe
kaisi kaisi chahaton ke the charagh
jin ko hum burd-e-hawa karte rahe
Tank kar KHush-rang ummidon ke phul
KHushk Tahni ko hara karte rahe
rang KHushbu se alag hote na the
lafz mani se juda karte rahe
jaante the chaplusi ka hunar
kaam phir bhi dusra karte rahe
KHauf-nagri ke makin the hum 'shafiq'
phir bhi jazbon ko sada karte rahe
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 358)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.