jo bhi kahna hai sab kahungi main
jo bhī kahnā hai sab kahūñgī maiñ
ab na bolī to kab kahūñgī maiñ
hālat-e-zār apnī kahnī hai
paas baiThoge tab kahūñgī maiñ
chāñd ban kar falak pe chamkegā
she'r jo nisf shab kahūñgī maiñ
ḳhauf-e-duniyā nikāl kar dil se
jo na kah paa.ī ab kahūñgī meñ
tere dil tak zarūr pahuñchegī
baat she'roñ meñ jab kahūñgī maiñ
maiñ rivāyāt kī amiiñ Thahrī
jo lagegā 'ajab kahūñgī maiñ
itnī kam-zarf to nahīñ 'ambar'
ḳhud hī apnī talab kahūñgī maiñ
jo bhi kahna hai sab kahungi main
ab na boli to kab kahungi main
haalat-e-zar apni kahni hai
pas baiThoge tab kahungi main
chand ban kar falak pe chamkega
she'r jo nisf shab kahungi main
KHauf-e-duniya nikal kar dil se
jo na kah pai ab kahungi mein
tere dil tak zarur pahunchegi
baat she'ron mein jab kahungi main
main riwayat ki amin Thahri
jo lagega 'ajab kahungi main
itni kam-zarf to nahin 'ambar'
KHud hi apni talab kahungi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.