jo bhi kirdar se likhi jae
jo bhī kirdār se likhī jaa.e
zindagī kyoñ na vo paḌhī jaa.e
daftar-e-ġham meñ aa ke baiThā huuñ
aaj koī ġhazal kahī jaa.e
zehn kā bojh kuchh to halkā ho
gard yādoñ kī saaf kī jaa.e
zindagī ke hisāb meñ gum huuñ
hal pahelī ye kaise kī jaa.e
chand lamhe hī khīñch lo is se
zindagī shaam sī Dhalī jaa.e
lab ke khulte hī kaan khul jaa.eñ
aise lahje meñ baat kī jaa.e
be-tahāsha hai bhiiḌ ḳhud mujh meñ
ab jagah aur kis ko dī jaa.e
dil kā shīsha jo toḌ kar rakh de
baat vo kyoñ kahī sunī jaa.e
jis ko dekho is intizār meñ hai
shor uTThe to ḳhāmushī jaa.e
sirf urdu zabān hai jo 'adīb'
ras mohabbat kā gholtī jaa.e
jo bhi kirdar se likhi jae
zindagi kyon na wo paDhi jae
daftar-e-gham mein aa ke baiTha hun
aaj koi ghazal kahi jae
zehn ka bojh kuchh to halka ho
gard yaadon ki saf ki jae
zindagi ke hisab mein gum hun
hal paheli ye kaise ki jae
chand lamhe hi khinch lo is se
zindagi sham si Dhali jae
lab ke khulte hi kan khul jaen
aise lahje mein baat ki jae
be-tahasha hai bhiD KHud mujh mein
ab jagah aur kis ko di jae
dil ka shisha jo toD kar rakh de
baat wo kyon kahi suni jae
jis ko dekho is intizar mein hai
shor uTThe to KHamushi jae
sirf urdu zaban hai jo 'adib'
ras mohabbat ka gholti jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.