jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun
jo bhī mil jaatā hai ghar-bār ko de detā huuñ
yā kisī aur talabgār ko de detā huuñ
dhuup ko detā huuñ tan apnā jhulasne ke liye
aur saaya kisī dīvār ko de detā huuñ
jo duā apne liye māñgnī hotī hai mujhe
vo duā bhī kisī ġham-ḳhvār ko de detā huuñ
mutma.in ab bhī agar koī nahīñ hai na sahī
haq to maiñ pahle hī haqdār ko de detā huuñ
jab bhī likhtā huuñ maiñ afsānā yahī hotā hai
apnā sab kuchh kisī kirdār ko de detā huuñ
ḳhud ko kar detā huuñ kāġhaz ke havāle aksar
apnā chehra kabhī aḳhbār ko de detā huuñ
merī dūkān kī chīzeñ nahīñ biktī 'nazmī'
itnī tafsīl ḳharīdār ko de detā huuñ
jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun
ya kisi aur talabgar ko de deta hun
dhup ko deta hun tan apna jhulasne ke liye
aur saya kisi diwar ko de deta hun
jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe
wo dua bhi kisi gham-KHwar ko de deta hun
mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi
haq to main pahle hi haqdar ko de deta hun
jab bhi likhta hun main afsana yahi hota hai
apna sab kuchh kisi kirdar ko de deta hun
KHud ko kar deta hun kaghaz ke hawale aksar
apna chehra kabhi aKHbar ko de deta hun
meri dukan ki chizen nahin bikti 'nazmi'
itni tafsil KHaridar ko de deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.