jo bhi mile qubul hai den han ya na jawab
jo bhī mile qubūl hai deñ haañ yā na javāb
dekheñ mire savāl kā deñge vo kyā javāb
kaisā savāl thā ki ulajh ke vo rah gayā
aise meñ kyā kisī ne kisī ko diyā javāb
dil meñ utar ga.e ho tum āñkhoñ ke rāste
āñkhoñ ke ik savāl pe āñkhoñ kā thā javāb
ham se nazar milā ke kabhī kījiyegā baat
ham deñge aap ko suno har baat kā javāb
ḳhāmoshī ik savāl hai aisā savāl ki
na chāhte hue use denā paḌā javāb
baiThe haiñ dil ko thaam ke ham to ba-chashm-e-nam
marzī hai un kī jo bhī deñ achchhā-burā javāb
jo bhi mile qubul hai den han ya na jawab
dekhen mere sawal ka denge wo kya jawab
kaisa sawal tha ki ulajh ke wo rah gaya
aise mein kya kisi ne kisi ko diya jawab
dil mein utar gae ho tum aankhon ke raste
aankhon ke ek sawal pe aankhon ka tha jawab
hum se nazar mila ke kabhi kijiyega baat
hum denge aap ko suno har baat ka jawab
KHamoshi ek sawal hai aisa sawal ki
na chahte hue use dena paDa jawab
baiThe hain dil ko tham ke hum to ba-chashm-e-nam
marzi hai un ki jo bhi den achchha-bura jawab
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 92)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.