jo bhi milta hai use pata hun diwana tera
jo bhī miltā hai use paatā huuñ dīvāna tirā
hai bajā shohrat kī devī naaz farmānā tirā
tū bhī uTh jā.egā jab uTh jā.egā daana tirā
tai hai is duniyā se bhaa.ī ek din jaanā tirā
mast kar detā hai har andāz-e-mastāna tirā
baiThnā uThnā tirā aanā tirā jaanā tirā
vo bhī kyā din the ki jab mujh se thā yārāna tirā
yaad aatā hai vo āñkhoñ meñ samā jaanā tirā
dil bahalne kī koī sūrat nazar aatī nahīñ
yaad bhī aatā nahīñ ab yaad aa jaanā tirā
ek muddat ho ga.ī hai kal ke vā'de ko magar
kal kā vā'da yaad aa jaatā hai rozāna tirā
aadmī ko ā.ina-kirdār honā chāhiye
kaam aa.egā na tere ā.ina-ḳhāna tirā
kaise kaise log aa.e aur ruḳhsat ho ga.e
ai 'shakīl' achchhā nahīñ is darja itrānā tirā
jo bhi milta hai use pata hun diwana tera
hai baja shohrat ki dewi naz farmana tera
tu bhi uTh jaega jab uTh jaega dana tera
tai hai is duniya se bhai ek din jaana tera
mast kar deta hai har andaz-e-mastana tera
baiThna uThna tera aana tera jaana tera
wo bhi kya din the ki jab mujh se tha yarana tera
yaad aata hai wo aankhon mein sama jaana tera
dil bahalne ki koi surat nazar aati nahin
yaad bhi aata nahin ab yaad aa jaana tera
ek muddat ho gai hai kal ke wa'de ko magar
kal ka wa'da yaad aa jata hai rozana tera
aadmi ko aaina-kirdar hona chahiye
kaam aaega na tere aaina-KHana tera
kaise kaise log aae aur ruKHsat ho gae
ai 'shakil' achchha nahin is darja itrana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.