jo bhi shai mange hai wo hosh-ruba mange hai
jo bhī shai māñge hai vo hosh-rubā māñge hai
intihā ye hai ki bande se ḳhudā māñge hai
ek hī saf meñ nazar aate haiñ qātil maqtūl
kaun hai apne kiye kī jo sazā māñge hai
kal jo ḳhud nuur thā vo dil bhī ujāle ke liye
aaj chaḌhte hue sūraj se ziyā māñge hai
dekhiye ab to ḳhizāñ sūkhe hue aa'zā ko
Dhāñkne ke liye phūloñ kī ridā māñge hai
ek hī mashġhala rahtā hai shab-o-roz use
mere mar jaane kī kambaḳht du'ā māñge hai
āñsuoñ kā jo ḳhazāna hai in āñkhoñ meñ 'ra.īs'
apne dāman meñ vahī bād-e-sabā māñge hai
jo bhi shai mange hai wo hosh-ruba mange hai
intiha ye hai ki bande se KHuda mange hai
ek hi saf mein nazar aate hain qatil maqtul
kaun hai apne kiye ki jo saza mange hai
kal jo KHud nur tha wo dil bhi ujale ke liye
aaj chaDhte hue suraj se ziya mange hai
dekhiye ab to KHizan sukhe hue aa'za ko
Dhankne ke liye phulon ki rida mange hai
ek hi mashghala rahta hai shab-o-roz use
mere mar jaane ki kambaKHt du'a mange hai
aansuon ka jo KHazana hai in aankhon mein 'rais'
apne daman mein wahi baad-e-saba mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.