Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai

Qateel Shifai

jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    jo biit ga.ī us ḳhabar hai ki nahīñ hai

    dekho mire tan par mirā sar hai ki nahīñ hai

    is shahr-e-nadāmat se jo aa.e haiñ palaT kar

    dar-pesh nayā un ko safar hai ki nahīñ hai

    yāroñ ko bahut pyaar hai zindān-e-vafā se

    lekin kisī dīvār meñ dar hai ki nahīñ hai

    miltī ho ziyā jis ko charāġhoñ lavoñ se

    us shahr meñ aisā koī ghar hai ki nahīñ hai

    chehre pe sajā laayā huuñ maiñ dil sadā.eñ

    duniyā meñ koī ahl-e-nazar hai ki nahīñ hai

    sūraj guzargāh bane shāḳh na jis

    aisā koī raste meñ shajar hai ki nahīñ hai

    barsāt meñ koyal jahāñ kuuk rahī thī

    ābād vo ḳhvāboñ nagar hai ki nahīñ hai

    TuuTī huī masjid maiñ khaḌā dekh rahā huuñ

    mahfūz shivāle gajar hai ki nahīñ hai

    kyuuñ terā garebāñ hai 'qatīl' ab bhī salāmat

    kuchh tujh pe na.ī rut asar hai ki nahīñ hai

    jo bit gai us ki KHabar hai ki nahin hai

    dekho mere tan par mera sar hai ki nahin hai

    is shahr-e-nadamat se jo aae hain palaT kar

    dar-pesh naya un ko safar hai ki nahin hai

    yaron ko bahut pyar hai zindan-e-wafa se

    lekin kisi diwar mein dar hai ki nahin hai

    milti ho ziya jis ko charaghon ki lawon se

    us shahr mein aisa koi ghar hai ki nahin hai

    chehre pe saja laya hun main dil ki sadaen

    duniya mein koi ahl-e-nazar hai ki nahin hai

    suraj ki guzargah bane shaKH na jis ki

    aisa koi raste mein shajar hai ki nahin hai

    barsat mein koyal si jahan kuk rahi thi

    aabaad wo KHwabon ka nagar hai ki nahin hai

    TuTi hui masjid main khaDa dekh raha hun

    mahfuz shiwale ka gajar hai ki nahin hai

    kyun tera gareban hai 'qatil' ab bhi salamat

    kuchh tujh pe nai rut ka asar hai ki nahin hai

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 140)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now