jo bujh gae unhin ko charaghon ka nam do
jo bujh ga.e unhīñ ko charāġhoñ kā naam do
be-chehragī ko apnī gulāboñ kā naam do
jo hai haqīqī us ko to ab bhuul jaao tum
be-jān pattharoñ ko ḳhudāoñ kā naam do
hamdardiyāñ ḳhulūs-o-mohabbat ki dostī
is daur meñ inheñ bhī gunāhoñ kā naam do
hai vaqt kā taqāzā burī harkatoñ ko tum
jiddat kaho hasīn adāoñ kā naam do
dahshat-garī jahāñ ye panaptī hai raat din
santoñ kā muñh kaho ki guphāoñ kā naam do
is meñ ghuTan hai zahr hai gard-o-ġhubār hai
phir bhī ise shagufta fazāoñ kā naam do
Duube the phir bhī saaf nikal aa.e ai 'latīf'
is ko adā kaho ki duāoñ kā naam do
jo bujh gae unhin ko charaghon ka nam do
be-chehragi ko apni gulabon ka nam do
jo hai haqiqi us ko to ab bhul jao tum
be-jaan pattharon ko KHudaon ka nam do
hamdardiyan KHulus-o-mohabbat ki dosti
is daur mein inhen bhi gunahon ka nam do
hai waqt ka taqaza buri harkaton ko tum
jiddat kaho hasin adaon ka nam do
dahshat-gari jahan ye panapti hai raat din
santon ka munh kaho ki guphaon ka nam do
is mein ghuTan hai zahr hai gard-o-ghubar hai
phir bhi ise shagufta fazaon ka nam do
Dube the phir bhi saf nikal aae ai 'latif'
is ko ada kaho ki duaon ka nam do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.