jo bujh gaya usi manzar pe rakh ke aaya hun
jo bujh gayā usī manzar pe rakh ke aayā huuñ
maiñ sab asāsa-e-dil ghar pe rakh ke aayā huuñ
batā maiñ kyā karūñ ab ai mirī tahī-dastī
ki jitne ḳhvāb the bistar pe rakh ke aayā huuñ
jo le ga.ī use mauj-e-fanā to hairat kyā
maiñ apnā jism samundar pe rakh ke aayā huuñ
harā-bharā huuñ bahāroñ ke zaḳhm khāte hue
in uñgliyoñ ko gul-e-tar pe rakh ke aayā huuñ
ye maiñ nahīñ mirī parchhā.īñ hai tire aage
ki apnā aap to maiñ ghar pe rakh ke aayā huuñ
bahut niDhāl huī hai thakan se ruuh mirī
maiñ apnī ḳhāk-e-badan sar pe rakh ke aayā huuñ
jo bujh gaya usi manzar pe rakh ke aaya hun
main sab asasa-e-dil ghar pe rakh ke aaya hun
bata main kya karun ab ai meri tahi-dasti
ki jitne KHwab the bistar pe rakh ke aaya hun
jo le gai use mauj-e-fana to hairat kya
main apna jism samundar pe rakh ke aaya hun
hara-bhara hun bahaaron ke zaKHm khate hue
in ungliyon ko gul-e-tar pe rakh ke aaya hun
ye main nahin meri parchhain hai tere aage
ki apna aap to main ghar pe rakh ke aaya hun
bahut niDhaal hui hai thakan se ruh meri
main apni KHak-e-badan sar pe rakh ke aaya hun
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 38)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 40)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.