jo bujh sake na kabhi dil mein hai wo aag bhari
jo bujh sake na kabhī dil meñ hai vo aag bharī
balā-e-jāñ hai mohabbat meñ fitrat-e-basharī
qafas meñ ham ne hazāroñ asiir dekhe haiñ
rahā hai kis kā salāmat ġhurūr-e-bāl-o-parī
tire jamāl ke asrār kaun samjhegā
panāh maañg rahā hai shu.ūr-e-dīda-darī
safar adam kā hai dushvār tū akelā hai
mujhe bhī saath liye chal sitāra-e-saharī
banā banā ke har ik shīsha toḌ detā hai
ajiib shai hai mire shīshagar kī shīshagarī
tabāhiyoñ kā zamāna hai hoshiyār raho
ḳhabar ke rañg meñ zāhir huī hai be-ḳhabarī
junūñ kā muzhda-e-fursat ki in dinoñ 'shāriq'
ḳhirad kā dast-e-mubārak hai vaqf-e-jāma-darī
jo bujh sake na kabhi dil mein hai wo aag bhari
bala-e-jaan hai mohabbat mein fitrat-e-bashari
qafas mein hum ne hazaron asir dekhe hain
raha hai kis ka salamat ghurur-e-baal-o-pari
tere jamal ke asrar kaun samjhega
panah mang raha hai shuur-e-dida-dari
safar adam ka hai dushwar tu akela hai
mujhe bhi sath liye chal sitara-e-sahari
bana bana ke har ek shisha toD deta hai
ajib shai hai mere shishagar ki shishagari
tabahiyon ka zamana hai hoshiyar raho
KHabar ke rang mein zahir hui hai be-KHabari
junun ka muzhda-e-fursat ki in dinon 'shaariq'
KHirad ka dast-e-mubarak hai waqf-e-jama-dari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.