jo chahti thi ye pagal hawa na hone diya
jo chāhtī thī ye pāgal havā na hone diyā
kabhī charāġh ko lau se judā na hone diyā
jo ek shaḳhs zamāne meñ thā aziiz mujhe
use bhī us kī anā ne mirā na hone diyā
ye dil hai terī amānat so aaj tak ham ne
udāsiyoñ meñ ise mubtalā na hone diyā
ta'alluqāt kā vo phuul kab kā suukh chukā
par us kī ḳhushbū ko dil se judā na hone diyā
ai ishq ham ko pata hai ki is zamāne ne
jo ham pe farz thā terā adā na hone diyā
ajab hai maut kā ye ḳhauf umr-bhar jis ne
ki zindagī se mirā rābta na hone diyā
banā ke apnā miTāyā mire vajūd ko yuuñ
ki us ne ḳhud se mirā sāmnā na hone diyā
jo chahti thi ye pagal hawa na hone diya
kabhi charagh ko lau se juda na hone diya
jo ek shaKHs zamane mein tha aziz mujhe
use bhi us ki ana ne mera na hone diya
ye dil hai teri amanat so aaj tak hum ne
udasiyon mein ise mubtala na hone diya
ta'alluqat ka wo phul kab ka sukh chuka
par us ki KHushbu ko dil se juda na hone diya
ai ishq hum ko pata hai ki is zamane ne
jo hum pe farz tha tera ada na hone diya
ajab hai maut ka ye KHauf umr-bhar jis ne
ki zindagi se mera rabta na hone diya
bana ke apna miTaya mere wajud ko yun
ki us ne KHud se mera samna na hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.