jo chaak hain dil ke zaKHmon mein sine hi paDe to si lenge
jo chaak hain dil ke zaKHmon mein sine hi paDe to si lenge
Abu Muslim Sahafi
MORE BYAbu Muslim Sahafi
jo chaak haiñ dil ke zaḳhmoñ meñ siine hī paḌe to sī leñge
duniyā meñ hameñ jab jiinā hai jis haal meñ hoñge jī leñge
āzār-e-mohabbat kā darmāñ kyā hogā nāseh bātoñ se
ham talḳh nasīhat sun leñge ham zahr ke sāġhar pī leñge
vo hashr-ba-dāmāñ haiñ to kyā ham zulm-o-sitam ko sahte haiñ
jab un kā ho kar jiinā hai jis tarh bhī hogā jī leñge
hai terā ye manshā ai zālim har zulm saheñ aur kuchh na kaheñ
ham terī ḳhātir dushman-e-jāñ umDe hue aañsū pī leñge
un shoḳh nigāhoñ ke sadqe kyā tiir pe tiir baraste haiñ
vo ham ko 'sahāfī' dekhā kareñ ham tīroñ meñ bhī jī leñge
jo chaak hain dil ke zaKHmon mein sine hi paDe to si lenge
duniya mein hamein jab jina hai jis haal mein honge ji lenge
aazar-e-mohabbat ka darman kya hoga naseh baaton se
hum talKH nasihat sun lenge hum zahr ke saghar pi lenge
wo hashr-ba-daman hain to kya hum zulm-o-sitam ko sahte hain
jab un ka ho kar jina hai jis tarh bhi hoga ji lenge
hai tera ye mansha ai zalim har zulm sahen aur kuchh na kahen
hum teri KHatir dushman-e-jaan umDe hue aansu pi lenge
un shoKH nigahon ke sadqe kya tir pe tir baraste hain
wo hum ko 'sahafi' dekha karen hum tiron mein bhi ji lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.