jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha
jo chāñd ko āġhosh meñ lene pe aḌā thā
har chand vo bachcha thā magar dil kā baḌā thā
jab apnī hī pahchān se ran apnā paḌā thā
ham aise jiyāloñ pe bhī vo vaqt kaḌā thā
tūfān se laḌne kī 'alāmat thā jo socho
yuuñ kahne ko miTTī kā vo ik kachchā ghaḌā thā
khul kar mujhe ik saañs kā lenā bhī thā mushkil
hālāt kā neza mire siine meñ gaḌā thā
vo tiir chalātā rahā nazdīk samajh kar
lekin maiñ nishāne se bahut duur khaḌā thā
dekhā to hameñ Tuut ke do TukḌe hue the
dushman kī safoñ meñ bhī hamārā hī dhaḌā thā
har dhuup meñ jalnā hī rahā us kā muqaddar
dīvār kā saaya pas-e-dīvār paḌā thā
hangāma-e-jāñ shor-e-anā dil kī qayāmat
maiñ kitne mahāzoñ pe akelā hī laḌā thā
har zaḳhm jo baḳhshā thā mujhe us kī nazar ne
ai 'badr' nagīne kī tarah dil meñ jaḌā thā
jo chand ko aaghosh mein lene pe aDa tha
har chand wo bachcha tha magar dil ka baDa tha
jab apni hi pahchan se ran apna paDa tha
hum aise jiyalon pe bhi wo waqt kaDa tha
tufan se laDne ki 'alamat tha jo socho
yun kahne ko miTTi ka wo ek kachcha ghaDa tha
khul kar mujhe ek sans ka lena bhi tha mushkil
haalat ka neza mere sine mein gaDa tha
wo tir chalata raha nazdik samajh kar
lekin main nishane se bahut dur khaDa tha
dekha to hamein Tut ke do TukDe hue the
dushman ki safon mein bhi hamara hi dhaDa tha
har dhup mein jalna hi raha us ka muqaddar
diwar ka saya pas-e-diwar paDa tha
hangama-e-jaan shor-e-ana dil ki qayamat
main kitne mahazon pe akela hi laDa tha
har zaKHm jo baKHsha tha mujhe us ki nazar ne
ai 'badr' nagine ki tarah dil mein jaDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.