jo chaaragar ban ke aa rahe hain ilaj gham ka wo kya karenge
jo chaaragar ban ke aa rahe hain ilaj gham ka wo kya karenge
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
jo chārāgar ban ke aa rahe haiñ ilaaj ġham kā vo kyā kareñge
hamīñ ne ye rog hai ḳharīdā hamīñ ḳhud us kī davā kareñge
safīna girdāb meñ jo phañstā to shikva qismat kā thā munāsib
Dubo de kashtī ko nāḳhudā hī to aap kis kā gilā kareñge
qafas meñ kyoñ phuul rakh rahe ho dilāte ho yaad bhūlī bāteñ
jo ġham se mānūs ho chuke haiñ ḳhushī ko le kar vo kyā kareñge
umiid rahzan se rahbarī kī fareb khānā hai aur kyā hai
jo ḳhud havas ke bane haiñ qaidī vo kyā kisī ko rihā kareñge
libās-e-insāniyat meñ aise luTere dekhe haiñ 'soz' ham ne
jo ḳhizr ke bhes meñ to hoñge magar hamesha daġhā kareñge
jo chaaragar ban ke aa rahe hain ilaj gham ka wo kya karenge
hamin ne ye rog hai KHarida hamin KHud us ki dawa karenge
safina girdab mein jo phansta to shikwa qismat ka tha munasib
Dubo de kashti ko naKHuda hi to aap kis ka gila karenge
qafas mein kyon phul rakh rahe ho dilate ho yaad bhuli baaten
jo gham se manus ho chuke hain KHushi ko le kar wo kya karenge
umid rahzan se rahbari ki fareb khana hai aur kya hai
jo KHud hawas ke bane hain qaidi wo kya kisi ko riha karenge
libas-e-insaniyat mein aise luTere dekhe hain 'soz' hum ne
jo KHizr ke bhes mein to honge magar hamesha dagha karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.