jo chand log mere sher sun ke jate hain
jo chand log mire she'r sun ke jaate haiñ
tilism-e-hosh-rubā paḌhne baiTh jaate haiñ
masarratoñ ko samajhne kī kaisī rut aa.ī
sagān-e-shahr bhī ab qahqahe lagāte haiñ
libās maañg ke pahnā hai kuchh rafīqoñ ne
aur us pe lutf mujhe aa.ina dikhāte haiñ
vahī batā.eñge tanhā shaboñ kī me'rājeñ
jo apnī zaat ke madfan meñ Duub jaate haiñ
har ek lamha kasī jā rahī haiñ zanjīreñ
'ajab ġhulām haiñ ham phir bhī muskurāte haiñ
na-jāne kaun mujhe yaad kar ke royā 'qais'
havā ke dosh pe ashkoñ ke jaam aate haiñ
jo chand log mere she'r sun ke jate hain
tilism-e-hosh-ruba paDhne baiTh jate hain
masarraton ko samajhne ki kaisi rut aai
sagan-e-shahr bhi ab qahqahe lagate hain
libas mang ke pahna hai kuchh rafiqon ne
aur us pe lutf mujhe aaina dikhate hain
wahi bataenge tanha shabon ki me'rajen
jo apni zat ke madfan mein Dub jate hain
har ek lamha kasi ja rahi hain zanjiren
'ajab ghulam hain hum phir bhi muskuraate hain
na-jaane kaun mujhe yaad kar ke roya 'qais'
hawa ke dosh pe ashkon ke jam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.