jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna
jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna
Anjum Usman
MORE BYAnjum Usman
jo chand sikkoñ kī chaah meñ kiiñ vo hijrateñ kyā shumār karnā
safar meñ apnoñ se dūriyoñ kī aziyyateñ kyā shumār karnā
jo mere dil kī ujaaḌ bastī meñ ek mausam Thahar gayā hai
balā se aa.e bahār yā phir ḳhizāñ ruteñ kyā shumār karnā
jo raushnī kā nagar kabhī thā vo aaj añdheroñ meñ gum huā hai
ujaaḌ añdherī udaas vīrāñ imārateñ kyā shumār karnā
sameT leñge ham apne dāman meñ apne hisse kī nafratoñ ko
na thiiñ hamāre nasīb meñ jo vo chāhateñ kyā shumār karnā
munāfiqat ke ġharaz ke rishtoñ meñ kyuuñ vafā ko talāshtī ho
ḳhulūs-e-dil gar na ho to aisī qarābateñ kyā shumār karnā
mohabbatoñ meñ vo bhīge lamhe vo guzre pal vo ruteñ jo bītīñ
kahīñ fazāoñ meñ kho ga.iiñ jo vo sā.ateñ kyā shumār karnā
bhulā diiñ ham ne jafā.eñ saarī sitam vo saare bhulā diye haiñ
jo tum ho apne to ab tumhārī adāvateñ kyā shumār karnā
likhe the naam apne jin pe ham ne daraḳht saare vo kaT chuke haiñ
miTā diyā vaqt ne jinheñ vo ibārateñ kyā shumār karnā
rahīñ diloñ meñ na vus.ateñ ab na fursateñ ab na chāhateñ ab
na ab mayassar kabhī jo hoñgī vo sohbateñ kyā shumār karnā
ye sīm-o-zar ye harīr-o-atlas ye jāh-o-hashmat ye auj-o-sarvat
sukūn-e-dil hī na de sakeñ jo vo rāhateñ kyā shumār karnā
vo chāhateñ haiñ jo ḳhuun ban kar ragoñ meñ daurān kar rahī haiñ
mohabbatoñ se bharā ho dāman to nafrateñ kyā shumār karnā
tirī razā pe jhukā ke sar ko jo zer-e-teġh-e-sitam kiyā thā
vo ek sajda hai sab pe bhārī ibādateñ kyā shumār karnā
jo sham-e-bazm-e-suḳhan kabhī the na koī ab un ko jāntā hai
davām jin ko huā na hāsil vo shohrateñ kyā shumār karnā
na jaane mahrūmiyoñ ke kitne hī daaġh dilbar saje hue haiñ
kabhī jo puurī na ho sakeñgī vo hasrateñ kyā shumār karnā
ho rā.egāñ har safar to 'anjum' tamām raste haiñ ek jaise
na manzileñ jab nasīb meñ hoñ masāfateñ kyā shumār karnā
jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna
safar mein apnon se duriyon ki aziyyaten kya shumar karna
jo mere dil ki ujaD basti mein ek mausam Thahar gaya hai
bala se aae bahaar ya phir KHizan ruten kya shumar karna
jo raushni ka nagar kabhi tha wo aaj andheron mein gum hua hai
ujaD andheri udas viran imaraten kya shumar karna
sameT lenge hum apne daman mein apne hisse ki nafraton ko
na thin hamare nasib mein jo wo chahaten kya shumar karna
munafiqat ke gharaz ke rishton mein kyun wafa ko talashti ho
KHulus-e-dil gar na ho to aisi qarabaten kya shumar karna
mohabbaton mein wo bhige lamhe wo guzre pal wo ruten jo bitin
kahin fazaon mein kho gain jo wo saaten kya shumar karna
bhula din hum ne jafaen sari sitam wo sare bhula diye hain
jo tum ho apne to ab tumhaari adawaten kya shumar karna
likhe the nam apne jin pe hum ne daraKHt sare wo kaT chuke hain
miTa diya waqt ne jinhen wo ibaraten kya shumar karna
rahin dilon mein na wusaten ab na fursaten ab na chahaten ab
na ab mayassar kabhi jo hongi wo sohbaten kya shumar karna
ye sim-o-zar ye harir-o-atlas ye jah-o-hashmat ye auj-o-sarwat
sukun-e-dil hi na de saken jo wo rahaten kya shumar karna
wo chahaten hain jo KHun ban kar ragon mein dauran kar rahi hain
mohabbaton se bhara ho daman to nafraten kya shumar karna
teri raza pe jhuka ke sar ko jo zer-e-tegh-e-sitam kiya tha
wo ek sajda hai sab pe bhaari ibaadaten kya shumar karna
jo sham-e-bazm-e-suKHan kabhi the na koi ab un ko jaanta hai
dawam jin ko hua na hasil wo shohraten kya shumar karna
na jaane mahrumiyon ke kitne hi dagh dilbar saje hue hain
kabhi jo puri na ho sakengi wo hasraten kya shumar karna
ho raegan har safar to 'anjum' tamam raste hain ek jaise
na manzilen jab nasib mein hon masafaten kya shumar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.