jo chashm-e-shauq ki haalat se aashkar na tha
jo chashm-e-shauq kī hālat se āshkār na thā
vo intizār ba-'unvān-e-intizār na thā
ye aur kyā thā kisī kā jo intizār na thā
nazar ko chain na thā qalb ko qarār na thā
‘urūj-e-ishq meñ thiiñ bad-gumāniyāñ aisī
kisī kā zikr hī kyā apnā e'tibār na thā
tire ḳhayāl kī nairangiyoñ kā thā ye asar
kabhī qarār thā dil ko kabhī qarār na thā
mujhe vahāñ ke nazāre kā haal kyā mā'lūm
jahāñ nigāh uThāne kā iḳhtiyār na thā
na aa.e vo mujhe thā jin kā intizār shadīd
qayāmat aa.ī qayāmat kā intizār na thā
qarār us kī judā.ī meñ kis tarah aatā
ḳhayāl jab kisī markaz pe barqarār na thā
jo e'tibār dilāyā thā aap ne mujh ko
vo e'tibār kā dhoka thā e'tibār na thā
jab us ke sāmne pahuñchā huuñ maiñ nahīñ mā'lūm
qarār thā mujhe us vaqt yā qarār na thā
uḌaa.e the tire jalve ne jis ke hosh-o-havās
vo hoshiyār huā bhī to hoshiyār na thā
jamāl-e-yār kā 'ain-ul-yaqīn thā lekin
mirī nazar kā mire dil ko e'tibār na thā
hamāre dil kā talavvun are ma.āz-allāh
nizām-e-fikr bahar-hāl barqarār na thā
vo kis maqām pe thā terā naqsh-e-pā aisā
jo mere sajda-e-ulfat kī yādgār na thā
maiñ kyā batā.ūñ unheñ 'qadr' jo ye pūchhte haiñ
bhar aa.iiñ kis liye āñkheñ jo dil pe baar na thā
jo chashm-e-shauq ki haalat se aashkar na tha
wo intizar ba-'unwan-e-intizar na tha
ye aur kya tha kisi ka jo intizar na tha
nazar ko chain na tha qalb ko qarar na tha
‘uruj-e-ishq mein thin bad-gumaniyan aisi
kisi ka zikr hi kya apna e'tibar na tha
tere KHayal ki nairangiyon ka tha ye asar
kabhi qarar tha dil ko kabhi qarar na tha
mujhe wahan ke nazare ka haal kya ma'lum
jahan nigah uThane ka iKHtiyar na tha
na aae wo mujhe tha jin ka intizar shadid
qayamat aai qayamat ka intizar na tha
qarar us ki judai mein kis tarah aata
KHayal jab kisi markaz pe barqarar na tha
jo e'tibar dilaya tha aap ne mujh ko
wo e'tibar ka dhoka tha e'tibar na tha
jab us ke samne pahuncha hun main nahin ma'lum
qarar tha mujhe us waqt ya qarar na tha
uDae the tere jalwe ne jis ke hosh-o-hawas
wo hoshiyar hua bhi to hoshiyar na tha
jamal-e-yar ka 'ain-ul-yaqin tha lekin
meri nazar ka mere dil ko e'tibar na tha
hamare dil ka talawwun are maaz-allah
nizam-e-fikr bahar-haal barqarar na tha
wo kis maqam pe tha tera naqsh-e-pa aisa
jo mere sajda-e-ulfat ki yaadgar na tha
main kya bataun unhen 'qadr' jo ye puchhte hain
bhar aain kis liye aankhen jo dil pe bar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.