jo chehre chamakte the wo murjhae hue hain
jo chehre chamakte the vo murjhā.e hue haiñ
lagtā hai bahāroñ ke ye Thukrā.e hue haiñ
jab jhūToñ ke chehre se haTāyā gayā pardā
sach sāmne aayā to vo jhuñjhlā.e hue haiñ
mujh par jo kiyā karte the ilzām-tarāshī
iḳhlās se ab mere vo sharmā.e hue haiñ
insān ke bas meñ nahīñ sīdhā unheñ karnā
vo log jo paidā.eshī bal khaa.e hue haiñ
ye baat alag hai mire ghar tak nahīñ aa.e
ḳhvāboñ meñ ka.ī baar to vo aa.e hue haiñ
jo chehre chamakte the wo murjhae hue hain
lagta hai bahaaron ke ye Thukrae hue hain
jab jhuTon ke chehre se haTaya gaya parda
sach samne aaya to wo jhunjhlae hue hain
mujh par jo kiya karte the ilzam-tarashi
iKHlas se ab mere wo sharmae hue hain
insan ke bas mein nahin sidha unhen karna
wo log jo paidaeshi bal khae hue hain
ye baat alag hai mere ghar tak nahin aae
KHwabon mein kai bar to wo aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.