jo chiz muqaddar mein nahin hai wo nahin hai
jo chiiz muqaddar meñ nahīñ hai vo nahīñ hai
ummīd phir us chiiz kī kyoñ zehn-nashīñ hai
tujh ko na yaqīñ ho to nigāhoñ se mirī dekh
koī bhī hai duniyā meñ to ik tū hī hasīñ hai
ab koī ise kufr samajhtā ho to samjhe
tū paañv jahāñ rakh de vahīñ arsh-e-barīñ hai
kuchh roz se aalam hai ye dīvāne kā tere
dil aur kahīñ hai to nazar aur kahīñ hai
tū chāñd pe jā chāhe sitāroñ pe chalā jā
ai ḳhaak ke putle tire rahne ko zamīñ hai
sirf is ke liye dahr ke ġham mol liye haiñ
jo dil meñ makīñ hai mirī āñkhoñ meñ makīñ hai
jis shāḳh pe jaltā huā chhoḌā thā nasheman
maiñ kunj-e-qafas meñ huuñ mirī ruuh vahīñ hai
ahbāb mire mujh se ye kyoñ pūchh rahe haiñ
ab rasm-e-vafā saare zamāne meñ kahīñ hai
shikva na shikāyat hai koī ahl-e-sitam se
'manzil' meñ nahīñ hai to yahī chiiz nahīñ hai
jo chiz muqaddar mein nahin hai wo nahin hai
ummid phir us chiz ki kyon zehn-nashin hai
tujh ko na yaqin ho to nigahon se meri dekh
koi bhi hai duniya mein to ek tu hi hasin hai
ab koi ise kufr samajhta ho to samjhe
tu panw jahan rakh de wahin arsh-e-barin hai
kuchh roz se aalam hai ye diwane ka tere
dil aur kahin hai to nazar aur kahin hai
tu chand pe ja chahe sitaron pe chala ja
ai KHak ke putle tere rahne ko zamin hai
sirf is ke liye dahr ke gham mol liye hain
jo dil mein makin hai meri aankhon mein makin hai
jis shaKH pe jalta hua chhoDa tha nasheman
main kunj-e-qafas mein hun meri ruh wahin hai
ahbab mere mujh se ye kyon puchh rahe hain
ab rasm-e-wafa sare zamane mein kahin hai
shikwa na shikayat hai koi ahl-e-sitam se
'manzil' mein nahin hai to yahi chiz nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.