jo dahr ki nazar mein KHudawand-e-hosh hai
jo dahr kī nazar meñ ḳhudāvand-e-hosh hai
is intihā-e-zulm pe vo bhī ḳhamosh hai
sahrā kī manziloñ se pare hai vo lāla-zār
parde meñ jis kī rut ke koī mai-farosh hai
tahzīb ustuvār kī ḳhvāhish kī raah meñ
nām-e-digar hayāt kā josh-o-ḳharosh hai
kal tū sunegā zulm se merā mukālima
apnā jahān aaj hī muhtāj-e-gosh hai
insāñ pukārtā hai koī inqalāb aa.e
patthar kī baat aur hai patthar ḳhamosh hai
jo dahr ki nazar mein KHudawand-e-hosh hai
is intiha-e-zulm pe wo bhi KHamosh hai
sahra ki manzilon se pare hai wo lala-zar
parde mein jis ki rut ke koi mai-farosh hai
tahzib ustuwar ki KHwahish ki rah mein
nam-e-digar hayat ka josh-o-KHarosh hai
kal tu sunega zulm se mera mukalima
apna jahan aaj hi muhtaj-e-gosh hai
insan pukarta hai koi inqalab aae
patthar ki baat aur hai patthar KHamosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.