jo dam ke sath the kal tak kabhi juda bhi na the
jo dam ke saath the kal tak kabhī judā bhī na the
vo aaj aise mile jaise āshnā bhī na the
kise gumāñ thā vafāoñ-bharī rifāqat ko
vo bhuul jā.eñge itne to bevafā bhī na the
kisī ne kar diyā kuchh aur bad-gumāñ ham se
ḳhafā vo the magar aise gurez-pā bhī na the
haiñ mujh se dād-talab husn-e-nā-ḳhudā.ī ke
vo log jo mirī kashtī ke nāḳhudā bhī na the
vafā.eñ kar ke vafā par bhī sharmsār the ham
jafā.eñ kar ke vo sharminda-e-jafā bhī na the
mirā 'ilāj mire chārasāz se na huā
vagarna 'bazm' mire zaḳhm lā-davā bhī na the
jo dam ke sath the kal tak kabhi juda bhi na the
wo aaj aise mile jaise aashna bhi na the
kise guman tha wafaon-bhari rifaqat ko
wo bhul jaenge itne to bewafa bhi na the
kisi ne kar diya kuchh aur bad-guman hum se
KHafa wo the magar aise gurez-pa bhi na the
hain mujh se dad-talab husn-e-na-KHudai ke
wo log jo meri kashti ke naKHuda bhi na the
wafaen kar ke wafa par bhi sharmsar the hum
jafaen kar ke wo sharminda-e-jafa bhi na the
mera 'ilaj mere chaarasaz se na hua
wagarna 'bazm' mere zaKHm la-dawa bhi na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.