jo dard mein na hui kuchh kami to kya hoga
jo dard meñ na huī kuchh kamī to kyā hogā
ġhamoñ se chuur rahī zindagī to kyā hogā
badal rahā hai nizām-e-chaman ye sach hai magar
sisaktī rah ga.ī koī kalī to kyā hogā
ham apnā ḳhūn-e-jigar tak pilā.eñge ġham ko
bujhī na phir bhī agar tishnagī to kyā hogā
kiyā hai ham ne bhī da.avā vafā-parastī kā
jo bandagī na adā ho sakī to kyā hogā
ġham-e-hayāt se 'faizī' farār mumkin hai
nigāh-e-marg ne kī be-ruḳhī to kyā hogā
jo dard mein na hui kuchh kami to kya hoga
ghamon se chur rahi zindagi to kya hoga
badal raha hai nizam-e-chaman ye sach hai magar
sisakti rah gai koi kali to kya hoga
hum apna KHun-e-jigar tak pilaenge gham ko
bujhi na phir bhi agar tishnagi to kya hoga
kiya hai hum ne bhi dawa wafa-parasti ka
jo bandagi na ada ho saki to kya hoga
gham-e-hayat se 'faizi' farar mumkin hai
nigah-e-marg ne ki be-ruKHi to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.