jo dard mein rahat pa na sake ulfat ki haqiqat kya jaane
jo dard mein rahat pa na sake ulfat ki haqiqat kya jaane
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
jo dard meñ rāhat pā na sake ulfat kī haqīqat kyā jaane
parvāna-sifat jo jal na sake sarshārī-e-ulfat kyā jaane
har-vaqt hai koī pesh-e-nazar yaksāñ hai kisī kī shām-o-sahar
mahrūmī-e-qurbat ke sadme nākām-e-mohabbat kyā jaane
shikva bhī kareñ to kis se kareñ ma.asūm-nazar ma.asūm-adā
jaise vo mohabbat kyā samjhe jaise vo adāvat kyā jaane
sar-chashma-e-ulfat ho kar bhī begāna-e-rāh-e-ulfat hai
kyoñ tāb-o-tavāñ ham kho baiThe vo chashm-e-ināyat kyā jaane
ummīd kī paiham ġham-ḳhvārī betābi meñ bhī sarshārī
kyā hijr meñ lazzat miltī hai āsūda-e-ulfat kyā jaane
jab dil meñ hujūm-e-yās huā do aañsū aañkh se bah nikle
jāñ-dāda-e-rāh-o-rasm-e-vafā dar-parda shikāyat kyā jaane
ai nāseh-e-mushfiq is ke sivā kyā tujh ko batā.eñ kyā hai maza
dekhī hī nahīñ jab us kī nazar to nashsha-e-ulfat kyā jaane
jo dard mein rahat pa na sake ulfat ki haqiqat kya jaane
parwana-sifat jo jal na sake sarshaari-e-ulfat kya jaane
har-waqt hai koi pesh-e-nazar yaksan hai kisi ki sham-o-sahar
mahrumi-e-qurbat ke sadme nakaam-e-mohabbat kya jaane
shikwa bhi karen to kis se karen masum-nazar masum-ada
jaise wo mohabbat kya samjhe jaise wo adawat kya jaane
sar-chashma-e-ulfat ho kar bhi begana-e-rah-e-ulfat hai
kyon tab-o-tawan hum kho baiThe wo chashm-e-inayat kya jaane
ummid ki paiham gham-KHwari betabi mein bhi sarshaari
kya hijr mein lazzat milti hai aasuda-e-ulfat kya jaane
jab dil mein hujum-e-yas hua do aansu aankh se bah nikle
jaan-dada-e-rah-o-rasm-e-wafa dar-parda shikayat kya jaane
ai naseh-e-mushfiq is ke siwa kya tujh ko bataen kya hai maza
dekhi hi nahin jab us ki nazar to nashsha-e-ulfat kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.