jo daulat aur taqat ke nashe mein chur hota hai
jo daulat aur tāqat ke nashe meñ chuur hotā hai
parakh liije use vo aadmī maġhrūr hotā hai
ho nā-farmān beTā to sukūñ ghar meñ nahīñ rahtā
ye ġham māñ-bāp ke dil ke liye nāsūr hotā hai
chalo aao jalā.eñ ilm kī qindīl ghar ghar meñ
isī qindīl se dil kā añdherā duur hotā hai
use ma.alūm hai patthar yaqīnan us pe barseñge
magar sach bolne ko aa.ina majbūr hotā hai
kisī ke chāhne se kuchh nahīñ hotā hai ai zāhid
vahī hotā hai jo allāh ko manzūr hotā hai
jo daulat aur taqat ke nashe mein chur hota hai
parakh lije use wo aadmi maghrur hota hai
ho na-farman beTa to sukun ghar mein nahin rahta
ye gham man-bap ke dil ke liye nasur hota hai
chalo aao jalaen ilm ki qindil ghar ghar mein
isi qindil se dil ka andhera dur hota hai
use malum hai patthar yaqinan us pe barsenge
magar sach bolne ko aaina majbur hota hai
kisi ke chahne se kuchh nahin hota hai ai zahid
wahi hota hai jo allah ko manzur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.