jo dekhe the wo sare KHwab ruKHsat ho gae hain
jo dekhe the vo saare ḳhvāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
hamāre sab adab ādāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
ye duniyā jis gharāne ke sabab tū ne banā.ī
tirī duniyā se vo be-āb ruḳhsat ho ga.e haiñ
nigahbāñ the jo sāhil par hamārī kashtiyoñ ke
vo sab ke sab sar-e-girdāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
paḌā hai jab qabīle par hamāre vaqt koī
hamāre mo'atabar ahbāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
tulū-e-sub.h kī afvāh par mahfil se us kī
hazāroñ anjum-o-mahtāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
jo dekhe the wo sare KHwab ruKHsat ho gae hain
hamare sab adab aadab ruKHsat ho gae hain
ye duniya jis gharane ke sabab tu ne banai
teri duniya se wo be-ab ruKHsat ho gae hain
nigahban the jo sahil par hamari kashtiyon ke
wo sab ke sab sar-e-girdab ruKHsat ho gae hain
paDa hai jab qabile par hamare waqt koi
hamare mo'atabar ahbab ruKHsat ho gae hain
tulu-e-subh ki afwah par mahfil se us ki
hazaron anjum-o-mahtab ruKHsat ho gae hain
- Book : Mizgan(Raees Ahmad Ansari Number : Shumara Number-027,028) (Pg. 266)
- Author : Naushad Momin
- Publication : M. N. Kashif (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.