jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
jo dekhtā hai mujhe aa.ine ke andar se
vo kaun hai koī pūchhe bhī us sitamgar se
sukūt TuuT gayā ḳhāmushī ke jangal kā
mirī sadā.eñ uThīñ is tarah mire ghar se
maiñ ek tinke kī sūrat hamesha bahtā rahā
mujhe mafar na milā vaqt ke samundar se
mire dayār meñ maazī kī jo thiiñ tasvīreñ
sabhoñ ko toḌ diyā maiñ ne aaj patthar se
tamām raat koī bhī na thā mire ghar meñ
lipaT ke soī thī tanhā.ī mere bistar se
jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
wo kaun hai koi puchhe bhi us sitamgar se
sukut TuT gaya KHamushi ke jangal ka
meri sadaen uThin is tarah mere ghar se
main ek tinke ki surat hamesha bahta raha
mujhe mafar na mila waqt ke samundar se
mere dayar mein mazi ki jo thin taswiren
sabhon ko toD diya main ne aaj patthar se
tamam raat koi bhi na tha mere ghar mein
lipaT ke soi thi tanhai mere bistar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.