jo dekhta hun use munh pe bolta hun main
jo dekhtā huuñ use muñh pe boltā huuñ maiñ
isī sabab se to ahbāb meñ burā huuñ maiñ
tumheñ ye kis ne kahā tum ko yaad kartā huuñ
tumheñ to ek zamāne meñ ro chukā huuñ maiñ
ḳhafā ḳhafā maiñ jo rahtā huuñ in dinoñ sab se
ḳhafā kisī se nahīñ ḳhud se hī ḳhafā huuñ maiñ
tire baġhair to jiinā muhāl thā merā
tire baġhair magar dekh jī rahā huuñ maiñ
sukūn bāñTne vaalo tumheñ ḳhabar hī nahīñ
tumhāre saath aziyyat meñ mubtalā huuñ maiñ
ḳhalīfa hone kā dā'vā karūñgā kis muñh se
tamām 'azmat-o-tauqīr kho chukā huuñ maiñ
gavāh un ke vakīl un ke haiñ 'adālat bhī
kise batā.uñgā āḳhir ki be-ḳhatā huuñ maiñ
tum aaj 'nūr' bahut kuchh ho kuchh nahīñ the jab
mire 'azīz tumheñ tab se jāntā huuñ maiñ
jo dekhta hun use munh pe bolta hun main
isi sabab se to ahbab mein bura hun main
tumhein ye kis ne kaha tum ko yaad karta hun
tumhein to ek zamane mein ro chuka hun main
KHafa KHafa main jo rahta hun in dinon sab se
KHafa kisi se nahin KHud se hi KHafa hun main
tere baghair to jina muhaal tha mera
tere baghair magar dekh ji raha hun main
sukun banTne walo tumhein KHabar hi nahin
tumhaare sath aziyyat mein mubtala hun main
KHalifa hone ka da'wa karunga kis munh se
tamam 'azmat-o-tauqir kho chuka hun main
gawah un ke wakil un ke hain 'adalat bhi
kise bataunga aaKHir ki be-KHata hun main
tum aaj 'nur' bahut kuchh ho kuchh nahin the jab
mere 'aziz tumhein tab se jaanta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.