jo dekhte hue naqsh-e-qadam gae honge
jo dekhte hue naqsh-e-qadam ga.e hoñge
pahuñch ke vo kisī manzil pe tham ga.e hoñge
palaT ke dasht se ā.eñge phir na dīvāne
pukār lo ki abhī kuchh qadam ga.e hoñge
jo māvarā-e-tasavvur nahīñ koī sūrat
to but-kade hī tak ahl-e-haram ga.e hoñge
tire junūñ ne pukārā thā hosh vāloñ ko
na jaane kaun se 'ālam meñ ham ga.e hoñge
mileñgī manzil-e-āḳhir ke baa'd bhī rāheñ
mire qadam ke bhī aage qadam ga.e hoñge
na pūchh hausala-e-hamrahān-e-sahl-pasand
jahāñ thakan ne kahā hogā tham ga.e hoñge
jo kah rahe haiñ ki aa.ī nazar na manzil-e-dost
vo log jānib-e-dair-o-haram ga.e hoñge
kahāñ se aa.e diyār-e-shafaq meñ rañgīnī
idhar se tere shahīdān-e-ġham ga.e hoñge
'shamīm' himmat-e-pā-e-talab kī baat na pūchh
vahāñ gayā huuñ jahāñ log kam ga.e hoñge
jo dekhte hue naqsh-e-qadam gae honge
pahunch ke wo kisi manzil pe tham gae honge
palaT ke dasht se aaenge phir na diwane
pukar lo ki abhi kuchh qadam gae honge
jo mawara-e-tasawwur nahin koi surat
to but-kade hi tak ahl-e-haram gae honge
tere junun ne pukara tha hosh walon ko
na jaane kaun se 'alam mein hum gae honge
milengi manzil-e-aKHir ke ba'd bhi rahen
mere qadam ke bhi aage qadam gae honge
na puchh hausala-e-hamrahan-e-sahl-pasand
jahan thakan ne kaha hoga tham gae honge
jo kah rahe hain ki aai nazar na manzil-e-dost
wo log jaanib-e-dair-o-haram gae honge
kahan se aae diyar-e-shafaq mein rangini
idhar se tere shahidan-e-gham gae honge
'shamim' himmat-e-pa-e-talab ki baat na puchh
wahan gaya hun jahan log kam gae honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.