jo DhunDne gaya tha wo ab tak mila nahin
jo DhūñDne gayā thā vo ab tak milā nahīñ
ġharqāb kashtiyoñ kā koī nā-ḳhudā nahīñ
ik dhund barqarār hai donoñ ke darmiyān
ya.anī ki dekh kar bhī use dekhtā nahīñ
merī fazā banī hai yahāñ tere naam se
lekin hai ye sitam kī tujhe kuchh pata nahīñ
ḳhushiyāñ tumhāre saath hī chalne kā naam haiñ
tum se kisī ne aaj tak aisā kahā nahīñ
puurī tarah se is ko koī ek hī paḌhe
merī badan-kitāb pe aisā likhā nahīñ
kūza-garī kā kaam hai shāyad ḳhudā kā kaam
jis se kabhī bhī chaak par achchhā banā nahīñ
jo DhunDne gaya tha wo ab tak mila nahin
gharqab kashtiyon ka koi na-KHuda nahin
ek dhund barqarar hai donon ke darmiyan
yani ki dekh kar bhi use dekhta nahin
meri faza bani hai yahan tere nam se
lekin hai ye sitam ki tujhe kuchh pata nahin
KHushiyan tumhaare sath hi chalne ka nam hain
tum se kisi ne aaj tak aisa kaha nahin
puri tarah se is ko koi ek hi paDhe
meri badan-kitab pe aisa likha nahin
kuza-gari ka kaam hai shayad KHuda ka kaam
jis se kabhi bhi chaak par achchha bana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.