jo dil-awez hai us zulf-e-girah-gir ki bu
jo dil-awez hai us zulf-e-girah-gir ki bu
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
jo dil-āvez hai us zulf-e-girah-gīr kī bū
aisī aalam meñ kisī kī nahīñ tāsīr kī bū
ahl-e-jauhar ko miTā sakte haiñ kab be-jauhar
mushk kī bū ko miTā detī hai kab sair kī bū
dam hameñ dene ko aayā hai are jā vaa.iz
muñh se aatī hai chalī tere abhī shiir kī bū
is zamāne ke amīroñ se na rakh chashm-e-husūl
kis ne sūñghī hai jahāñ meñ gul-e-tasvīr kī bū
aah kī siiḳh palaT ātish-e-ġham par jaldī
chalī aatī hai kabāb-e-dil-e-dil-gīr kī bū
pahuñchī yāqūb ko haañ pairahan-e-yūsuf kī
misr se dam meñ jo allāh ne taqdīr kī bū
dam meñ Dālegā mirā nāla-e-shab-gīr nikāl
naak kī raah dimāġh-e-falak-e-pīr kī bū
sach to ye baat hai ai 'aish' ki paate haiñ yahāñ
tere ash.ār meñ tarz-e-suḳhan-e-'mīr' kī bū
jo dil-awez hai us zulf-e-girah-gir ki bu
aisi aalam mein kisi ki nahin tasir ki bu
ahl-e-jauhar ko miTa sakte hain kab be-jauhar
mushk ki bu ko miTa deti hai kab sair ki bu
dam hamein dene ko aaya hai are ja waiz
munh se aati hai chali tere abhi shir ki bu
is zamane ke amiron se na rakh chashm-e-husul
kis ne sunghi hai jahan mein gul-e-taswir ki bu
aah ki siKH palaT aatish-e-gham par jaldi
chali aati hai kabab-e-dil-e-dil-gir ki bu
pahunchi yaqub ko han pairahan-e-yusuf ki
misr se dam mein jo allah ne taqdir ki bu
dam mein Dalega mera nala-e-shab-gir nikal
nak ki rah dimagh-e-falak-e-pir ki bu
sach to ye baat hai ai 'aish' ki pate hain yahan
tere ashaar mein tarz-e-suKHan-e-'mir' ki bu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.