jo dil ki rah mohabbat mein yawari ho jae
jo dil kī raah mohabbat meñ yāvarī ho jaa.e
janāb-e-ḳhizr kī ma.alūm rahbarī ho jaa.e
udhar jo zulfoñ se mauqūf dilbarī ho jaa.e
idhar balā se musībat se dil barī ho jaa.e
mirī zabān jo vaqf-e-fusūñ-garī ho jaa.e
to band shīsha-e-dil meñ har ik parī ho jaa.e
musībatoñ se mirā dil agar barī ho jaa.e
to us ke saath hī merī bhī behtarī ho jaa.e
raqam jo vasf-e-ruḳh-e-raushan ai parī ho jaa.e
kalām apnā bhī dīvān-e-anvarī ho jaa.e
agar ḳhafā tū raqīboñ se ai parī ho jaa.e
to un ke hosh uḌeñ aur abtarī ho jaa.e
idhar bhī tirchhī nazar se to dekh ai zālim
idhar bhī koī adā-e-sitamgarī ho jaa.e
vo bahr-e-husn agar āb-e-lutf se sīñche
to kisht-e-ārzū phūle phale harī ho jaa.e
hamāre dil meñ jab aa.e vo ā.ina-paikar
hamārī aarzū sadd-e-sikandarī ho jaa.e
maiñ saḳht-jāñ huuñ na kar qatl mujh ko ai qātil
ki baaḌh teġh kī terī na dardarī ho jaa.e
gayā maiñ is liye le kar payām-e-vasl-e-adū
ki un kī diid kā baa.is payambarī ho jaa.e
vo mehr-e-husn jo aa jaa.e baam par apne
to zarra zarra bhī ḳhurshīd-e-ḳhāvarī ho jaa.e
ḳhudā ke vāste dekho na dekho ā.īna
koī zarūr hai is meñ na hamsarī ho jaa.e
kabhī maiñ dasht se bāhar qadam nahīñ rakkhūñ
junūñ ke hāthoñ agar pairahan zarī ho jaa.e
chaman ko naaz urūsān-e-bāġh par hai bahut
ḳhudā kare kahīñ us gul se hamsarī ho jaa.e
rahe har ek se 'sābir' judā mazāq-e-suḳhan
suḳhan-varoñ se nirālī suḳhanvarī ho jaa.e
jo dil ki rah mohabbat mein yawari ho jae
janab-e-KHizr ki malum rahbari ho jae
udhar jo zulfon se mauquf dilbari ho jae
idhar bala se musibat se dil bari ho jae
meri zaban jo waqf-e-fusun-gari ho jae
to band shisha-e-dil mein har ek pari ho jae
musibaton se mera dil agar bari ho jae
to us ke sath hi meri bhi behtari ho jae
raqam jo wasf-e-ruKH-e-raushan ai pari ho jae
kalam apna bhi diwan-e-anwari ho jae
agar KHafa tu raqibon se ai pari ho jae
to un ke hosh uDen aur abtari ho jae
idhar bhi tirchhi nazar se to dekh ai zalim
idhar bhi koi ada-e-sitamgari ho jae
wo bahr-e-husn agar aab-e-lutf se sinche
to kisht-e-arzu phule phale hari ho jae
hamare dil mein jab aae wo aaina-paikar
hamari aarzu sadd-e-sikandari ho jae
main saKHt-jaan hun na kar qatl mujh ko ai qatil
ki baDh tegh ki teri na dardari ho jae
gaya main is liye le kar payam-e-wasl-e-adu
ki un ki did ka bais payambari ho jae
wo mehr-e-husn jo aa jae baam par apne
to zarra zarra bhi KHurshid-e-KHawari ho jae
KHuda ke waste dekho na dekho aaina
koi zarur hai is mein na hamsari ho jae
kabhi main dasht se bahar qadam nahin rakkhun
junun ke hathon agar pairahan zari ho jae
chaman ko naz urusan-e-bagh par hai bahut
KHuda kare kahin us gul se hamsari ho jae
rahe har ek se 'sabir' juda mazaq-e-suKHan
suKHan-waron se nirali suKHanwari ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.