jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
jo dil ko diije to dil meñ ḳhush ho kare hai kis kis tarah se halchal
agar na diije to vo haiñ kyā kyā jatāve ḳhafagī itaab akaḌ bal
agar ye kahiye ki ham haiñ bekal zarā gale mil to hañs ke zālim
dikhāve haikal uThā ke ya.anī balā se merī mujhe to hai kal
jo is bahāne se haath pakḌeñ ki dekh dil kī dhaḌak hamāre
to haath chhap se chhuḌā le kah kar mujhe nahīñ hai kuchh is kī aTkal
jo chhup ke dekheñ to taaḌ jaave vagar sarīhan to dekho phirtī
ki aate aate nigāh ruḳh tak chhupā le muñh ko ulaT ke āñchal
kare jo va.ada to is tarah kā ki dil ko sunte hī ho tasallī
jo sochiye phir to kaisā va.ada faqat bahāna fareb aur chhal
jo dil ko bose ke badle diije to hañs ke lailā bahut ḳhushī se
jo bosa māñgo to phir ye naqshā kabhī to aaj aur kabhī kahe kal
na jul meñ aave na bhiḌ ke nikle na paas baiThe 'nazīr' ik dam
baḌā hī pur-fan baḌā hī syānā baḌā hī shoḳh aur baḌā hī chanchal
jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
agar na dije to wo hain kya kya jatawe KHafagi itab akaD bal
agar ye kahiye ki hum hain bekal zara gale mil to hans ke zalim
dikhawe haikal uTha ke yani bala se meri mujhe to hai kal
jo is bahane se hath pakDen ki dekh dil ki dhaDak hamare
to hath chhap se chhuDa le kah kar mujhe nahin hai kuchh is ki aTkal
jo chhup ke dekhen to taD jawe wagar sarihan to dekho phirti
ki aate aate nigah ruKH tak chhupa le munh ko ulaT ke aanchal
kare jo wada to is tarah ka ki dil ko sunte hi ho tasalli
jo sochiye phir to kaisa wada faqat bahana fareb aur chhal
jo dil ko bose ke badle dije to hans ke laila bahut KHushi se
jo bosa mango to phir ye naqsha kabhi to aaj aur kabhi kahe kal
na jul mein aawe na bhiD ke nikle na pas baiThe 'nazir' ek dam
baDa hi pur-fan baDa hi syana baDa hi shoKH aur baDa hi chanchal
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.