Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil pe guzarti hai duniya use kya jaane

Shoaib Ahmad Merathi Nudrat

jo dil pe guzarti hai duniya use kya jaane

Shoaib Ahmad Merathi Nudrat

MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat

    jo dil pe guzartī hai duniyā use kyā jaane

    is raaz ko maiñ jānūñ merā ḳhudā jaane

    jo tere ishāre ko paiġhām-e-qazā jaane

    vo tiir ko kyā jaane shamshīr ko kyā jaane

    kyā tujh ko sunā.ūñ maiñ afsāna-e-dard-e-dil

    dard ko kyā samjhe dard ko kyā jaane

    thī dil se ġharaz us ko dil chhīn liyā us ne

    ab ro.uuñ ki taḌpūñ maiñ zālim balā jaane

    'nudrat' ko to duniyā achchhī nazar aatī hai

    jo ḳhud ho burā sab se vo kis ko burā jaane

    jo dil pe guzarti hai duniya use kya jaane

    is raaz ko main jaanun ya mera KHuda jaane

    jo tere ishaare ko paigham-e-qaza jaane

    wo tir ko kya jaane shamshir ko kya jaane

    kya tujh ko sunaun main afsana-e-dard-e-dil

    tu dard ko kya samjhe tu dard ko kya jaane

    thi dil se gharaz us ko dil chhin liya us ne

    ab roun ki taDpun main zalim ki bala jaane

    'nudrat' ko to duniya hi achchhi nazar aati hai

    jo KHud ho bura sab se wo kis ko bura jaane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now